Do you Heart EzineArticles.com, too?

Thursday, March 27, 2008

Wo khilaune ki dukaan

Baat jyaada puraani nahi hai but dhyaan mei aaj aayi. Jab sochne baitha mei to na dukhi hua aur na sukh ka ehsaas hua. Kai baar humara mann hume kaise kaise anubhav karwata hai, bas issi baat par mei hairat mei thaa....
Hua yu ki humare shahr mei ek khilaune ki dukaan hua karti thii, mei koi 4 ya 5 saal ka raha hunga, tabhi se us dukaan ko kotuhal ki drishti se dekhta rehta tha. Kabhi kabhi vishes avsar par, mere papa mujhe us dukaan par le bhi jaate they, lekin us dukaan se kabhi khushi -khushi waapis nahi lauta mei.. Arey bhai, ab mujhe chahiye hote they khoop saare khilaune aur papa dilwate they sirf ek, kai baar to kissi aur khilaune ke chakkkar mei jo mil raha tha, wo bhi naa milta....
Tooo, mere baal man par, us khilaune ki dukaan ne ek alag sthaan bana liya thaa...kai saal guzar gaye aur mei apne sabhi dosti ki tarah apne jeevan mei vyast ho gaya... kabhi waqt hi nahi milaa us khilaune ki dukaan ki taraf mud ke dekhne ka....
lekin us roz jab mujhe ek gift kharidne ki zaroorat padi to mene usii dukaan ki taraf dekhaa... lekin ye dukaan mere bachpan waali dukaan se kaafi alag thi... jin khilauno ko dekhkar mere aakho mei ek chamak aa jaati thi, aaj wahi aakhei us dukaan ke khilauno mei na chahte hue bhi kamiya dhoondh rahi thi....Apne bachpan ki yaado mei khaas jagah rakhne waali is dukaan ko thoda sa samaan dene ki meri har koshish naakaam hoti jaa rahi thi... Aurrr aakhir, mei haar hi gaya aur jis dukaan se mei humesha aur paane ki chah mei nikla karta thaa, khaali haath nikal aaya... kissi aur behtar dukaan ke liye , shaayad kissi aur behtar shahar ke liye, mei aage nikal aaya